Tuesday, November 9, 2010

Apne Chehrey Se

Apne Chehrey Se Nahi Hone Dete Ayaan Gham Ko

Samjh Na Le Koi Be-bas Yahan Hum Ko

Main Ise Muhabbat Kahon K Khud Gharzi "Wajid"

K Jis Ne Khud Se Bhi Rakha Hai Nahan Hum Ko

Monday, November 8, 2010

Mujhe Apne Zabat

Mujhe Apne Zabat Pe Naz Tha Sar-e-Bazm Rat Ye Kaya Howa


Meri Ankh Kase Chalak Gai Mujhe Ranj Hai Ye Bura Howa


Meri Zindagi K Chiragh Ka Ye Mizaj Koi Naya Nahi


Abhi Roshni Abhi Tairgi Na Jala Howa Na Bujha Howa


Yeh Jo Nazar Jhuka K Guzar Gay Mere Samne Se Abhi Abhi


Yeh Mere Hi Shahar K Log They Mere Ghar Se Ghar Hai Mila Howa


Mujhe App Kiun Na Samjh Sake Khud Apne Dil Se Pochey


Meri Dastan-e-Hayat Ka To Warq Warq Hai Khula Howa


Mujhe Hamsafar Bhi Mila Koi To Shiksta Haal Meri Tarah


Kahen Raston Ka Luta Howa Kai Manzloun Ka Thaka Howa

Kuch Bhi Nahi

Tum Jab Aogi To Khoya Howa Paogi Mujhe


Meri Tanhai Me Khawabon Ke Siwa Kuch Bhi Nahi


Mere Kamrey Ko Sajane Ki Tamna Hai Tumheen


Mere Kamrey Me Kitaboun Ke Siwa Kuch Bhi Nahi

Dekha Jaata

Abar Ki Zad Me Sitaara Nahi Dekha Jaata

Ashak Apna Ho K Tumhara Nahi Dekha Jaata

Tere Chehrey Ki Kashash Thi K Plat Kar Dekha 

Warna Soraj Ko To Dobaara Nahi Dekha Jaata

Dil Kabhi

Dil Kabhi Sorat-e-Haalat Se Bahar Na Gaya

Main Muhabbat Me Bhi Uqaat Se Bahar Na Gaya

Ik To K Tera Taluq Hai Jahan Bhar Se 

Ik Main Jo Kabhi Teri Zaat Se Bahar Na Gaya

Wo Shakhas

Wo Shakhas Jab Se Meri Tamna Nahi Rakhta

Dil Kisi Or Ko Chahne Ka Hosla Nahi Rakhta

Wo Kia Bichra K Har Koi Pochta Hai Usi Ka

Youn Lagta Hai "Wajid" Main Jase Chehra Nahi Rakhta